Wednesday, February 25, 2009

insaaniyat ek behtareen tohfa har ek insaan ko

kahte hai duniya me agar sabse koi achi cheez hai to wo " insaan" Pak kitabon me bhi ALLAH, ISHWAR, JESUS, ne saaf saaf farmaya hai ki duniya me agar koi sabse behtreen cheez humne banayi to insaan ko banaya". lekin yeh kya aaj ke insaan ke pass insaniyat bachi kaha har koi apni zaruryat me mashgool hai , agar aj agar kisi se ek glass pani ke daryaft karta hai to hamara jawab seedha aur asaan hota hai "oye" chal hum tere baap ke naukar hai jo aap jaise nawab ke liye pani layein , ab insaan ke pass insaniyat bachi kaha hai , koi mazhab ke naam par insanon ko insano se ladwa raha hai , koi gareebon ko apne pairon tale raud raha hai , to koi apne budhe maan, baap ko sata raha hai , koi dahej ke naam insaniyat ko marne me laga hai vagairah vagairah , ab insaniyat sirf ek alfaz aur sirf alfaz ban kar rah gaya jo sirf kiton tak achi lagti hai, kahte hai jo insaniyat ko pehchanta hai aur uspar chalta hai aur doosron ko usi rahe-e-rast par lata hai wohi sacha insaan hota , hum yeh nahi kahte insaniyat ek dum is duinya se fana ho gayi hai aj bhi aise log hai yaha jo insaniyat ki misaal hai hum bhi unhi ko dekh kar insaniyat ki raah par chalne ki koshish kar rahe hai taki hamari wajah se doosron ko takleef na pahunche aur zindagi hamri sabki khushgwar ho guzarein , so akhiri me hum kahna chahte hai yeh insaano jago , insaniyat bagiya me pyar , mohabbat , aman, chain, dher sari khushiyan bhar dein taki is duniya sabhi tabke chahe woh kisi bhi mazhab ( relegion) ka ho apni sari zindagi jo UPAR wale ki di gayi nemat

No comments:

Post a Comment

ap sabhi ka sawagat hai aapke viksit comments ke sath